Home

Khana Pina ke rider banein

Tando Allahyar mein khana pahunchayein aur har trip par kamayein.

Kya chahiye

📜 Rider agreement (rider ke usool)

🖨️ Print
  1. Khana Pina ka customer, Khana Pina ka hi customer rahega. Main us se kabhi seedha, apne number par order nahi lunga.
  2. Agar customer mujhe order ke liye call ya message kare to main kahunga: "Order khanapina.pk par karein ya Khana Pina ke WhatsApp 0315 0076713 par."
  3. Customer ka number sirf usi ek delivery ke liye. Na save karunga, na kisi ko dunga, na apne kaam ke liye istemal karunga.
  4. Paison mein imandari: restaurant ka bill aur customer ka total bilkul order ke mutabiq.
  5. Khana time par, saaf aur band pahunchaunga, aur har customer aur restaurant se tameez se baat karunga.
  6. Har delivery charge ka 80% mera. Khana Pina ka 20% har roz JazzCash se bhejunga.
  7. Har delivery par kahunga: "Agla order bhi khanapina.pk se karein."
  8. Koi bhi masla ho (order late, cheez ghalat, customer naraz) to foran Khana Pina ko bataunga.
  9. Agar main ye usool todun: pehli dafa warning, doosri dafa Khana Pina se nikal diya jaunga.
Kab kaam kar sakte hain?