Terms aur privacy

Khana Pina Tando Allahyar ke restaurants se khana aur dukaanon se saman mangwane ki website hai. Yeh page batata hai kaun kya karta hai, aur aap ki likhi maloomat ka kya hota hai.

Aakhri tabdeeli 25 October 2026

Khana Pina kya karta hai

  • Tando Allahyar ke restaurants aur dukaanon ke menu dikhata hai.
  • Aap ka order Khana Pina ke liye WhatsApp message mein likh deta hai, aap sirf Send dabayein.
  • WhatsApp par aap ka order confirm karta hai. Jab tak hum jawab na dein, order confirm nahi.
  • Khana Pina ka rider bhejta hai, jo restaurant ya dukaan se aap ka order khareed kar ghar tak laata hai. Aap usay cash dete hain.
  • Sirf khanapina.pk ya Khana Pina ke WhatsApp par diye gaye order ki zimmedari leta hai. Rider ko seedha us ke apne number par diya gaya order Khana Pina ka order nahi, us mein hum madad nahi kar sakte.

Order ya delivery mein koi masla ho to usi WhatsApp chat mein batayein.

Restaurant ya dukaan kya karti hai

  • Khana banati hai ya saman pack karti hai.
  • Apni cheez ki zimmedar hai: zaiqa, miqdaar, safai aur ajza.

Agar aap ko allergy hai to cart ke note mein likh dein. Hum order khareedne se pehle check karte hain, lekin pack khud bhi zaroor parhein.

Qeemat aur khulne ka waqt

  • Qeemat har restaurant ya dukaan ki apni list se li gayi hai. Site update hone se pehle qeemat badal sakti hai, is liye jo total hum WhatsApp par confirm karein wohi dena hoga.
  • “Price jald aa rahi hai” ka matlab hai woh qeemat abhi hamare paas nahi. Order khareedne se pehle hum qeemat bata dete hain.
  • Khulne ka waqt andaza hai. Restaurant der se khul sakta hai ya jaldi band ho sakta hai.

Imaandari se order

  • Order sirf tab bhejein jab aap lena aur paise dena chahte hon. Jhoota order asli khana aur rider ka chakkar zaya karta hai.
  • Spam rokne ke liye ek shakhs thore waqt mein sirf kuch order bhej sakta hai.

Hum kya maloomat save karte hain

Order ka button dabane par hum yeh save karte hain:

  • aap ka naam aur mobile number
  • aap ka pata, agar delivery chuni
  • aap ka note
  • kya mangwaya, total aur waqt

Yeh order pohanchane, har restaurant ke order ginne, aur kisi masle mein order dekhne ke liye save hota hai. Agar aap survey mein WhatsApp number dein, to woh sirf naye deals aur restaurants ki khabar dene ke liye istemal hota hai.

Aap ki maloomat kaun dekhta hai

  • Khana Pina aur woh rider jo order laata hai. Hum aap ki maloomat bechte nahi aur advertising ke liye istemal nahi karte.
  • Card ya bank ki maloomat kisi ko nahi milti, kyun ke yahan online payment nahi hai.
  • Agar aap cart mein location ka button dabayein, to aap ke phone ki jagah ka map link rider ke liye WhatsApp message mein jata hai. Hum usay save nahi karte.
  • Hum aap ke internet address se bana ek chhupa code rakhte hain. Yeh sirf spam rokne ke liye ginta hai ke ek jagah se kitne order aaye.
  • Hum ginte hain ke roz kitne log site kholte hain aur kis link se aaye. Is ginti mein koi naam, number ya pata nahi hota.

Aap ke phone par kya rehta hai

  • Aap ka browser naam, number, pata, cart, zabaan aur pichla order yaad rakhta hai, taa ke dobara na likhna pare.
  • Yeh sirf aap ke phone par rehta hai. Browser mein is site ka data saaf karne se mit jata hai.
  • Hum Meta (Facebook) pixel istemal karte hain taa ke pata chale ke hamare Facebook aur Instagram ads se kitne order aaye. Yeh Meta ko sirf yeh batata hai ke page khula, cheez cart mein dali ya order hua, aur order ki raqam. Aap ka naam, number ya pata kabhi nahi jata. Meta is ke liye apni cookies rakh sakta hai.

WhatsApp

WhatsApp Meta ki alag app hai. Wahan jo aap bhejte hain us par WhatsApp ki apni terms aur privacy policy lagti hai.

Hum se rabta

Koi sawal hai, ya apne orders ki maloomat mitwani hai? Khana Pina ko WhatsApp par message karein: 0315 0076713

Is page mein tabdeeli

Khana Pina ke barhne ke saath yeh page badal sakta hai. Upar ki tareekh naya version batati hai.

Wapas Madad par